New_Special_Naat_2021_-_Zohaib_Ashrafi_&_Rao_Arsal_-_Mein_Sajda_Karon_Ya_Dil_Ko__Official_Video(256k)
[00:01.03] Mein sajdah karun ya ke dil ko sambhalun
[00:14.06] Muhammad ki chokhat nazar aa rahi hei
[00:23.59] Issi be-khudi main kahiin kho na ja-un tarrap kamli waale ki tarrap aa rahi hei
[00:41.15] Do aalam ka daata mere saamne hei ke kaabe ka kaaba mere saamne hei
[00:58.59] Ada kyun na farz-e-muhabbat karun mein khuda ki khudaii jhuki ja rahi hei
[01:34.99] Ye farmaya haq ne ke pyaare muhammad hamare ho tum ham tumhare muhammad
[01:52.30] Hamain apne jalwon main eh kamli waale tumhari hi surat nazar aa rahi hei
[02:29.96] Faqeeri ka mujh main nahiin hei saleeqa na aata hei kuch maangne ka tareeqa
[02:47.77] Idhar bhi nigaahe karam kamli waale zamane ki jholi bhari ja rahi hei
[03:23.93] Ye jazba muhabbat hei rahmat khuda ki hei chokhat mere saamne mustafa ki
[03:41.50] Mujhe kyun na ho naaz qismat pe muslim muhabbat kahaan ki kahaan la rahi hei
