Lrc Player

Aap

Unknown artist
[10:54.07]·
This lyric sheet isn't paired with a song yet, so lines are shown but won't sync or seek.

[00:23.52] Aap ki naaten main likh likh kar sunaaun aap ko

[00:30.79] Kis tarah razi karun kaise manaun aap ko

[00:33.26] Aap ko razi na kar paya to mar jaaunga main

[00:33.76] Chhoti Chhoti kirchiyan ban kar bikhar jaaunga main

[00:35.78] Zindagi ka is tarah mujhko maza kya ayega

[00:42.77] Dil siyahi ke bhawar me doobta rah jayega

[00:48.02] Wasta doon aapko main aap ke Hasnain ka

[00:57.53] Yaar ghar-e-sour ka Siddiqa-e-konain ka

[01:00.54] Aap to dushman ke haq me bhi dua karte rahe

[01:03.27] Bewafa logon se bhi har dam wafa karte rahe

[01:04.02] Aap to rahmat hi rahmat hain jahanon ke liye

[00:00.00] Mere jaise be-amal or be-thikano ke liye

[00:00.00] Aap ka hai roothna arz-o-sama ka roothna

[00:00.00] Arsh ka sare jahano ke khuda ka roothna

[00:00.00] Aap ki naataen main likh likh kar sunaaun aapko

[00:00.00] Kis tarah razi karun kaise manaaun aap ko

[00:00.00] Aap ki nazron se jo girta hai mar jata hai wo

[00:00.00] Raakh ban kar apne qadmon me bikhar jata hai wo

[00:00.00] Is tarah to aadmi khud aadmi rahta nahi

[00:00.00] sahib-e-iman kya insan bhi rahta nahi

[00:00.00] Kaise kaise dushmano par raham khaya aap ne

[00:00.00] Aag se kitne hi logo ko bachaya aap ne

[00:00.00] Apne jooton apne saye me bitha lijiye mujhe

[00:00.00] Aap ka nacheez khadim hun dua dijiye mujhe

[00:00.00] Zindagi ki tez lehron me na bah jaun kahin

[00:00.00] Gird ban kar raste hi me na rah jaun kahin

[00:00.00] Aap ko khatoon-e-jannat or Ali(r.a) ka wasta

[00:00.00] Aap ko Farooq, usman ghani (r.a) ka wasta

[00:00.00] Aap ki naatan main likh likh kar sunaaun aapko

[00:00.00] Kis tarah razi karun kaise manaaun aap ko

[00:00.00] Zindagi ko ek bahut mushkil safar darpesh hai

[00:00.00] Ek mushkil imtehan baar-e-digar darpesh hai

[00:00.00] Soch me dooba hua hoon, soch hi me qaid hoon

[00:00.00] Bebasi ghere hue hai, bebasi me qaid hoon

[00:00.00] Toot te jaate hain sare aasre jitne bhi hain

[00:00.00] Be asar hain log sab chhote bare jitne bhi hain

[00:00.00] Kis qadar kitna zaroori hai sahara aapka

[00:00.00] Meri qismat hi badal dega ishara aap ka

[00:00.00] Log aksar shayer-e-ashab kahte hain mujhe

[00:00.00] Unki khatir roz shab betaab kahte hain mujhe

[00:00.00] Be amal hoon maghfirat ka ek sahara hai zaroor

[00:00.00] Aap ka har ek sahaabi jaan se pyara hai zaroor

[00:00.00] Aap ki naaten main likh likh kar sunaaun aapko

[00:00.00] Kis tarah razi karun kaise manaaun aap ko

[00:00.00] Maine mukhtas kar li apni chashm-e-tar unke liye

[00:00.00] Muztarib rahta hun hamesha sham-o-sahar unke liye

[00:00.00] Main na sarmad hun na majnu hu na main mansoor hun

[00:00.00] Unka shayar or unka banda-e-mazdoor hoon

[00:00.00] Meri khwahish hai ke unki khoobiyan likhta rahun

[00:00.00] Shouq se mai aasmaan ko aasmaan likhta rahun

[00:00.00] Unki khatir aap mujh par meharbani kijiye

[00:00.00] Mere hal-e-zaar par aaqa tawajjo dijiye

[00:00.00] Aap se rishta ghulami ka sada qayam rahe

[00:00.00] khuwajgi aur bandagi ki ye fiza qayam rahe

[00:00.00] Mere sar par mushkilon ka aasmaan girne ko hai

[00:00.00] Zarra-e-nacheez per koh-e-gira girne ko hai

[00:00.00] Aap ki naaten mai likh likh kar sunaaun aap ko

[00:00.00] Kis tarah razi karun kaise manaun aap ko

[00:00.00] Ghup andhere me khara hoon ae hira ke aftab

[00:00.00] Purza purza ho rahi hai meri khushiyon kitab

[00:00.00] Mere haq me apne khaliq se dua farmaiye

[00:00.00] Ae mere aaqa karam ki inteha farmaiye

[00:00.00] Dekhte hain to mujhe be-aasra kahte hain log

[00:00.00] Ahde mazi ki koi bhooli sada kahte hain log

[00:00.00] Kis tarah rokoon mai is toofan aur sailaab ko

[00:00.00] Zehen se kaise nikaloon khoufnak is khwab ko

[00:00.00] Meri apni saans bhi ab to mere bas me nahin

[00:00.00] Thak gai hai chalte chalte ab meri loh-e-jabeen

[00:00.00] Dekh kar dushwar raahen zindagi ghabra gayi

[00:00.00] Mere ghar tak aate aate roshni ghabra gayi

[00:00.00] Sabz-e-gumbad ki taraf uthti hain nazren baar baar

[00:00.00] Aap ki rahmat ko deta hai sada ye khaksaar

[00:00.00] Khaliq-e-arzo-samaan se ab dua kijiye huzoor

[00:00.00] Meharban ho jaye mujh aasi pe ab rabb-e-ghafoor

[00:00.00] Meri himmat se zyada hai preshaani ka bojh

[00:00.00] Main utha sakta nahin apne tan-e-faani ko bojh

[00:00.00] Rah pe chalte hue ab dagmaga jata hun main

[00:00.00] saans lene pr bhi ab to larkhara jata hun main

[00:00.00] Lab hila dijiye meri khatir dua ke waste

[00:00.00] Raham farma dijiye mujh par khuda ke waste

[00:00.00] Aap ki naaten mai likh likh kar sunaaun aap ko

[00:00.00] Kis tarah razi karun kaise manaun aap ko