DANVEER KARNA THE UNLUCKY WARRIOR STORY IN RAP MAHABHARAT
[00:12.49] Dheer-veer gambhir karna tha yuddh neeti ka gyaani
[00:15.68] veer na uske jaisa koi na uske jaisa tha daani
[00:19.13] teer chalata bijli sa vo shastro ka abhyasi
[00:22.05] vaani se shastrath kare to lagta tha sanyasi
[00:25.24] aasmaan tak shor machaye Vijay Dhanush tankaar
[00:28.47] Saare teer karan ke seedhe girte jaakar saagar paar
[00:31.65] gyaan ka na hi bal ka karta tha vo tanik ghamand
[00:35.11] shan bhar me hi kar deta dushman ke an-gin khand
[00:38.04] ran-kaushal mein uske jaisa, jag mein koi nahi tha
[00:41.50] duniya ke lakho prashno ka uttar sirf wahi tha
[00:44.41] ran thal ka aabhushan tha vo dharti ka samman
[00:47.86] panno me apne itihas ke wo hai veeron ki pehchan
[00:51.06] jab Karan chala samrangan me Arjun ka tez parakhne
[00:55.55] teeron pe jab teer chale fir pandav lage tadapne
[00:57.40] krukshetra mein swad yudh ka, chakhne aur chkhane
[01:00.59] Dekho ang raaj radheya chala, ab ran kaushal dikhlane
[01:03.78] mahaveer jab rath par chadh kar, samar bhumi mein aaya
[01:07.27] pandav sena par ghir aayi, bhay ki kali chhaya
[01:10.45] bhaago- bhaago pran bachao, har koi chillaya
[01:13.37] madhav ke atirikt na samjha koi karn ki maya
[01:16.56] keshav bole suno parth, tum samay na vyarth gawao
[01:20.02] vijay chahte ho toh pahle apna baan chalao
[01:23.20] duryodhan aaya hai karne maanav-ta ka mardan
[01:26.39] kintu karn ki muthhi me hai mrityu ki bhi gardan
[01:29.58] karn khada hai duryodhan ke, prati kartavya nibhane
[01:32.77] Aaj yudh bhumi mein daanveer, aaya hai karz chukane
[01:35.95] soot putra yah surya veer, ab kinchit nahi jhukega
[01:38.61] iske vijay dhanush se bano ka ab hamla nahi rukega
[01:42.33] agnikund mein gee saman wo yudh bhasam kar dega l
[01:45.51] taaz Jeet ka duryodhan ke mastak par dhar dega
[01:48.70] kauntey ne pratyancha par jyon hi baan chadhaya
[01:51.88] sher se krodhit surya putra ko apne sammukh paya
[01:55.07] arjun bola soot putra main tere praan harunga
[01:58.28] dharm raaj ke charno me gaurav ka taaz dharunga
[02:01.46] panchali ki aankho mein ab aansu nahi rahenge
[02:04.39] aaj abhimanyu ke hatyare jeevit nahi bachenge
[02:07.84] shaant huyi wah agni lagi thi, lakshahgrah aangan me
[02:11.29] sirf rakt se aag bujhegi, dhadhak rahi jo aankho me
[02:14.48] arjun ki baton ko sunkar fir ang raaj yeh bola
[02:17.67] maine jisko yodha samjha nikla balak bhola
[02:20.86] Veer purush yu shabdo se logo ko nahi darate
[02:23.78] yodhdha apne paurush ka gaurav nahi girate
[02:26.98] sachche yodha shabd tyag kar shastra se baatein karte
[02:30.15] bhujdando ke dam par hi vo duniya ka tam harte
[02:33.36] yudh bhumi mein parkha jata,ran ka kaushal sara
[02:36.79] samrangan hi tay karta hai, kaun kaal se hara
[02:40.00] lage baan par baan barsane, yudh hua tab bheeshan
[02:42.94] raah patan ki lekar aaya, mrityu vala season
[02:46.38] aasman mein vidhhut jaise badal lage kadakne
[02:49.60] dono veero ke bheetar ki jwala aise lagi bhadkne
[02:52.81] ran bhoomi se dur nagar ke nar naari chillaye
[02:55.98] kurukshetra ke mahapralay se, ishwar aaj bachaye
[02:59.16] tabhi karn ke rath ka pahiya dal-dal mein tha aaya
[03:02.36] balshali ashwo ne apna pura zor lagaya
[03:05.54] lekin karan ki kismat ko kuch bhi sweekar nahi tha
[03:08.47] pahiya bahar aa na saka tha, ab tak dhansa wahin tha
[03:12.18] dhanush rakha tab karn nihaththa, rath se neeche aaya
[03:15.12] arjun ne bhi baan rok kar kshatrya dharm nibhaya
[03:18.29] lekin krishna vahi khade the usi waqt vo bole
[03:21.48] arjun ke man me fir kaise rop rahe the shole
[03:24.68] parashuraam ka diya hua abhishaap vyarth na jaye
[03:27.90] Karn ki vo bramhastra ki vidya kaise diye bhulaye
[03:31.09] yudh bhumi mein unch nich tum arjun nahi bicharo
[03:34.28] surya putra ki chhati par ab antim baan utaro
[03:40.66] madhav ke vachno ko sunkar arjun kuch sakuchaya
[03:44.10] divya shaktiyon ko aamantrit kar gandiv uthaya
[03:47.02] shastra heen par lakshya saadh kar arjun ne shar chhoda
[03:50.22] teer karn ko maar vijay rath ko fir aise moda
[03:53.40] mili parajay, kintu Karn ne jay ko gale lagaya
[03:56.59] RAVI KA BETA DEH TYAG KAR, RAVI MEIN PUNAH SAMAYA
[03:59.77] dansheelta ka daani se hua aaj atirek
[04:03.23] deh daan kar kiya karn ne mirtyu ka abhishek
[04:06.42] gyani daani veer dhanurdhar, vida hua tha aaj
[04:09.34] dharm raaj ke sir par. aaya, kul ka raktim taaj
