Tu hindu banega na musalman banega
[00:28.17] "Tu Hindu banega na Musalman banega
[00:32.42] Insaan ki aulad hai, insaan banega
[00:46.52] Achha hai abhi tak tera kuch naam nahin hai
[00:51.02] Tujhko kisi mazhab se koi kaam nahin hai
[01:04.84] Jis ilm ne insano ko taqseem kiya hai
[01:09.90] Us ilm ka tujh par koi ilzaam nahin hai
[01:14.42] Tu badle huye waqt ki pehchaan banega
[01:18.66] Insaan ki aulad hai, insaan banega
[01:23.44] Tu Hindu banega na Musalman banega
[01:27.97] Insaan ki aulad hai, insaan banega
[01:54.79] Malik ne har insaan ko insaan banaya
[01:55.86] Humne use Hindu ya Musalman banaya
[02:00.10] Malik ne har insaan ko insaan banaya
[02:04.62] Humne use Hindu ya Musalman banaya
[02:09.41] Qudrat ne to bakshi thi hamein ek hi dharti
[02:15.53] Humne kahin Bharat, kahin Iran banaya
[02:21.10] Jo tod de har bandh, wo tuufan banega
[02:25.09] Insaan ki aulad hai, insaan banega
[02:29.07] Tu Hindu banega na Musalman banega
[02:32.79] Insaan ki aulad hai, insaan banega
[02:56.16] Nafrat jo sikhaye vo dharm tera nahin hai
[03:00.69] Insaan ko jo raunde vo kadam tera nahin hai
[03:05.19] Nafrat jo sikhaye vo dharm tera nahin hai
[03:09.45] Insaan ko jo raunde vo kadam tera nahin hai
[03:14.26] Quran na ho jisme vo mandir nahin tera
[03:19.04] Geeta na ho jisme vo haram tera nahin hai
[03:23.82] Tu aman ka aur sulah ka armaan banega
[03:28.08] Insaan ki aulad hai, insaan banega
[03:32.58] Tu Hindu banega na Musalman banega
[03:37.37] Insaan ki aulad hai, insaan banega
[04:16.94] Ye deen ke tajir ye watan bechnewale, watan bechnewale
[04:25.45] Ye deen ke tajir ye watan bechnewale
[04:29.71] Insaano ki lashon ke kafan bechnewale, kafan bechnewale
[04:36.90] Insaano ki lashon ke kafan bechnewale
[04:41.15] Ye mahlo mein baithe hue qatil ye lootere
[04:45.93] Kaanton ke aewaz rooh-e-chaman bechnewale
[04:50.46] Kaanton ke aewaz rooh-e-chaman bechnewale
[04:54.96] Tu inke liye maut ka elaan banega
[04:59.48] Insaan ki aulad hai, insaan banega
[05:04.26] Tu Hindu banega na Musalman banega
[05:08.51] Insaan ki aulad hai, insaan banega"
