AUR-Shikayat-(Gospeljingle.com)
[00:14.15] Zakhm dil pe hai, dawa karo
[00:16.81] Aao, mil ke rasm-e-mohabbat ada karo
[00:20.81] Kuch na kar sako mere liye
[00:23.72] Toh bas khwaabon mein hi mujhse mil liya karo
[00:27.45] Aa milo kahin mujhse
[00:33.83] Ke ummidein kuch baaqi hain meri tumse
[00:39.42] Na jaane hasrat hi rahi ho tum meri
[00:47.92] Ke shayad yeh din aakhiri ho
[00:52.17] Hum khwahish mein mar jaayein
[00:55.36] Aa milo kahin mujhse
[01:01.74] Ke ummidein kuch baaqi hain meri tumse
[01:09.17] Le chalo wahan mujhe
[01:11.56] Main dekhta hoon aasmaan mein bhi ab tujhe
[01:14.75] Dekha ek roz taara toot ke gaya
[01:17.94] Maangi bhi duaayein, par haan tu nahi mila
[01:21.39] Woh aaya hi nahi jo ek dafa gaya
[01:23.27] Woh door itna ho gaya, main dekh na saka
[01:28.33] Hai dhoondhta wajah ab dil yeh bewajah
[01:32.05] Hai toota is tarah se dil ke phir nahi laga
[01:35.23] Toh aa milo kahin, oh, mere humnasheen
[01:38.69] Main ab bhi hoon akela, yeh tu samjha kyun nahi?
[01:42.14] Wajood dillagi ki aarzoo nahi
[01:45.32] Mohabbat toh wahi hai jo ke milti hi nahi
[01:48.52] Mohabbaton mein jhoom loon, main kya karun bata
[01:51.97] Main mubtila gham mein ya main gham ki hoon dawa?
[01:55.69] Main baddua hoon, ya dua hoon, ya main hoon saza?
[01:59.17] Ab tu bata ke main hoon ya phir tu hai laapata, tu bata
[02:03.96] Laapata ho gaye humare liye tum
[02:12.99] Itna chaaha ke tum bewafa ho gaye
[02:17.03] Jaana, bhoolna tha tumhein, Khuda ki qasam
[02:27.11] Haath jab bhi uthe, tum dua ho gaye
[02:30.56] Honthon pe dua hai, waqt tham nahi raha
[02:34.28] Tu na mil saka, tu bas nazam mein hi raha
[02:37.47] Duniya ki mohabbaton ne sab badal diya
[02:40.92] Tera gham ajeeb hai, woh wahin ka wahin raha
[02:44.38] Bhoolna main chaah raha tha tujhko is tarah
[02:47.56] Na teri jagah koi ho, na ho tu wahan
[02:51.29] Ab teri talash mein pata chala mujhe
[02:54.74] Tumse hi shuru hai raat, tumse hi subah
[02:58.22] Tu mil gayi toh ja milegi zindagi mujhe
[03:02.22] Jo tu nahi toh chahiye kuch nahi mujhe
[03:05.19] Khwaab, tu ehsaas, tu hi raat, tu subah
[03:08.38] Kaat dunga zindagi main dekh ke tujhe
[03:12.09] Dekh le mujhe
[03:13.69] Yeh kat rahi hai zindagi ab dekh ke tujhe
[03:16.89] Toot hi gaya hoon, tu samet le mujhe
[03:20.61] Samet le mujhe, kahin bikhar na jaaun main
[03:38.68] Toh aao na
[03:42.40] Mere aansu ko pochho aur phir se rulaao mujhe
[03:49.05] Mera sab kuch hai tere liye
[03:52.24] Toh aao na
[03:56.24] Dil ki baatein karo aur phir se sataao mujhe
[04:02.87] Mera sab kuch hai tere liye
[04:10.84] Mil jaaun main tumhein agar raaston mein kahin
[04:13.77] Tum rasman hi pooch lena mujhse haal mera
[04:16.69] Main muskurakar, gham chhupa kar hi jawaab doonga
[04:20.14] Main yahi karta aaya hoon, ye hai kamaal mera
