SHIKAYAT
[00:18.45] Zakhm dil pe hai, dawa karo
[00:21.11] Aao, mil ke rasm-e-mohabbat ada karo
[00:25.11] Kuch na kar sako mere liye
[00:28.02] Toh bas khwaabon mein hi mujhse mil liya karo
[00:31.75] Aa milo kahin mujhse
[00:38.13] Ke ummidein kuch baaqi hain meri tumse
[00:43.72] Na jaane hasrat hi rahi ho tum meri
[00:52.22] Ke shayad yeh din aakhiri ho
[00:56.47] Hum khwahish mein mar jaayein
[00:59.66] Aa milo kahin mujhse
[01:06.04] Ke ummidein kuch baaqi hain meri tumse
[01:13.47] Le chalo wahan mujhe
[01:15.86] Main dekhta hoon aasmaan mein bhi ab tujhe
[01:19.05] Dekha ek roz taara toot ke gaya
[01:22.24] Maangi bhi duaayein, par haan tu nahi mila
[01:25.69] Woh aaya hi nahi jo ek dafa gaya
[01:27.57] Woh door itna ho gaya, main dekh na saka
[01:32.63] Hai dhoondhta wajah ab dil yeh bewajah
[01:36.35] Hai toota is tarah se dil ke phir nahi laga
[01:39.53] Toh aa milo kahin, oh, mere humnasheen
[01:42.99] Main ab bhi hoon akela, yeh tu samjha kyun nahi?
[01:46.44] Wajood dillagi ki aarzoo nahi
[01:49.62] Mohabbat toh wahi hai jo ke milti hi nahi
[01:52.82] Mohabbaton mein jhoom loon, main kya karun bata
[01:56.27] Main mubtila gham mein ya main gham ki hoon dawa?
[01:59.99] Main baddua hoon, ya dua hoon, ya main hoon saza?
[02:03.47] Ab tu bata ke main hoon ya phir tu hai laapata, tu bata
[02:08.26] Laapata ho gaye humare liye tum
[02:17.29] Itna chaaha ke tum bewafa ho gaye
[02:21.33] Jaana, bhoolna tha tumhein, Khuda ki qasam
[02:31.41] Haath jab bhi uthe, tum dua ho gaye
[02:34.86] Honthon pe dua hai, waqt tham nahi raha
[02:38.58] Tu na mil saka, tu bas nazam mein hi raha
[02:41.77] Duniya ki mohabbaton ne sab badal diya
[02:45.22] Tera gham ajeeb hai, woh wahin ka wahin raha
[02:48.68] Bhoolna main chaah raha tha tujhko is tarah
[02:51.86] Na teri jagah koi ho, na ho tu wahan
[02:55.59] Ab teri talash mein pata chala mujhe
[02:59.04] Tumse hi shuru hai raat, tumse hi subah
[03:02.52] Tu mil gayi toh ja milegi zindagi mujhe
[03:06.52] Jo tu nahi toh chahiye kuch nahi mujhe
[03:09.49] Khwaab, tu ehsaas, tu hi raat, tu subah
[03:12.68] Kaat dunga zindagi main dekh ke tujhe
[03:16.39] Dekh le mujhe
[03:17.99] Yeh kat rahi hai zindagi ab dekh ke tujhe
[03:21.19] Toot hi gaya hoon, tu samet le mujhe
[03:24.91] Samet le mujhe, kahin bikhar na jaaun main
[03:42.98] Toh aao na
[03:46.70] Mere aansu ko pochho aur phir se rulaao mujhe
[03:53.35] Mera sab kuch hai tere liye
[03:56.54] Toh aao na
[04:00.54] Dil ki baatein karo aur phir se sataao mujhe
[04:07.17] Mera sab kuch hai tere liye
[04:15.14] Mil jaaun main tumhein agar raaston mein kahin
[04:18.07] Tum rasman hi pooch lena mujhse haal mera
[04:20.99] Main muskurakar, gham chhupa kar hi jawaab doonga
[04:24.44] Main yahi karta aaya hoon, ye hai kamaal mera
