Lrc Player

Ali Ali Maula

Farhan Ali Waris
[05:58.59]·Synced by Guest·
This lyric sheet isn't paired with a song yet, so lines are shown but won't sync or seek.

[00:15.59] Is baat pe kyu kar na kare fakhr mawali

[00:21.98] Socha nahi bus humne to maana hai ali ko

[00:27.02] Batlati hai ye kaabe mein maujood dararein

[00:32.61] Is ghar ne bohot toot ke chaaha hai ALI ko

[00:53.59] Masjid boli

[00:55.44] Mimbar bolo

[00:58.92] Masjid boli

[01:00.24] Mimbar bolo

[01:01.30] 13 rajab ko kaaba bola

[01:03.97] Ali ali maula ali ali maula

[01:06.62] Saath zubaan ke dil ye bola

[01:14.33] Charoon taraf midhat ki fizaein

[01:16.98] Aao zamane bhar ko sajaein

[01:19.63] Aaj zahoor hai maula ali ka

[01:22.29] Kyu na khushi mein naara lagaein

[01:24.95] Wajd mein aakar, naara lagaya

[01:27.60] Ali ali maula haider maula

[01:40.62] 13 rajab ki bazm sajai

[01:43.00] Khoob hui fir madha sarai

[01:45.66] Ishq tera darwaish banae

[01:48.32] Ishq tera bakshe danaai

[01:50.98] Khoob wila ka jaam piya tha

[01:53.63] Phir bhi nashe mein mai nahi dola

[02:06.65] Tu ne namaz e ishq sikhai

[02:09.04] Tu ne hume tauheed batai

[02:11.69] Kaun bayaan kar paega maula

[02:14.35] Teri fazeelat teri badaai

[02:17.01] Padhne laga wo tera qaseeda

[02:19.41] Jab bhi kabhi quraan ko khola

[02:27.93] Banao jashn ke kaabe mein aa rahe hai ali

[02:35.64] Khuda ke ghar se buto'n ko bhaga rahe hai ali

[02:41.74] Jidare kaaba ne has kar kaha khuda ki qasam

[02:47.60] Mujhe tawaaf ke qabil bana rahe hai ali

[02:55.03] Joothy khudaoon walo aao

[02:56.62] Joothy khudaoon ko le jao

[02:58.74] Aa gaya ghar ka malik dekho

[03:01.41] Apni dukaan kahin aur lagao

[03:04.07] Aagai andar madar e haider

[03:06.72] Jhoom ke kaaba fir ye bola

[03:19.92] Marhab se ladte bhi dekha

[03:22.31] Tanha use rote bhi dekha

[03:24.70] Sajda use karte bhi dekha

[03:27.35] Sajda use hote bhi dekha

[03:30.02] Sajid aur masjood ali hai

[03:32.40] Raaz yahi salmaan ne khola

[03:45.68] Rasm e wafa duniya ne chala di

[03:48.34] Ishq ki wo tehzeeb sikha di

[03:50.99] Karta raha duniya mein manadi

[03:53.39] Meesam tha is wird ka aadi

[03:56.04] Kaati zabaa'n jab ehle sitam ne

[03:58.71] Daar pe jaakar meesam bola

[04:11.99] Padhte hue mai nahj e balagha

[04:14.39] Ishq mein tere soch raha tha

[04:22.36] mere lahu mein mere junoo mein

[04:24.74] tere ishq ne hi ras ghola

[04:37.76] Mulk e adam par teri hukumat

[04:40.42] Khuld o iram par teri hukumat

[04:43.07] Marziye rab ka malik tu hai

[04:45.74] Lauh o qalam par teri hukumat

[04:48.39] Duniya tujhko rabb kehti hai

[04:51.05] Jab jiska eemaan tatola

[05:04.07] An'amta ka raaz bhi tu hai

[05:06.46] Nabiyo ka dam saaz bhi tu hai

[05:09.12] 'Mazhar' ka eemaan hai maula

[05:11.52] Hatif ki aawaz bhi tu hai

[05:14.43] Madha sana 'Farhan' hua to

[05:17.09] Kehne laga darwaisho ka tola

[05:47.63] by𓆩 𝐀ʜᴍᴇᴅ 𓆪