hajio-aao-shahenshah-ka-roza-dekho
[00:44.67] Haajiyo aao Shahenshah ka Roza dekho
[00:45.42] Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba dekho
[01:14.70] Rukn e Shaami se miti wah’shate shaame ghurbat
[01:17.19] Ab Madine ko chalo subhe dil aaraa dekho
[01:19.67] Aabe Zam-Zam to piyaa khoob bujhaa-ee pyaase
[01:20.42] Aao joode Shahe Kowsar ka bi darya dekho
[01:21.18] Zayre Mizaab mile khoob Karamke cheente
[00:00.00] Abre Rehmat ka yaha zowr barasnaa dekho
[00:00.00] Dhoom dekhi hai dare kaaba pe betaabo ki
[00:00.00] unke mushtako me hasrat ka tadapna dekho
[00:00.00] misle parwana phiri karte the jis sham'a ke gird
[00:00.00] apni uss sham'a ko parwana yaha ka dekho
[00:00.00] Khoob aankho se lagaaya he Gilaafe Kaaba
[00:00.00] Qasre Mehboob ke parde ka bhi jalwa dekho
[00:00.00] Wa(n) mutiyo ka jigar khauf se pani paaya
[00:00.00] ya(n) siyahkaaro ka daaman pe machalna dekho
[00:00.00] Awwali khana e haq ki to ziyaye dekhi
[00:00.00] aakhri bait e nabi ka bhi tajalla dekho
[00:00.00] aymane tur ka tha rukne yamani me farog
[00:00.00] shola e tur yaha anjuman-aara dekho
[00:00.00] mehre madar ka maza deti hai aagosh e hateem
[00:00.00] jin pe maa baap fida ya(n) karam unka dekho
[00:00.00] Arz E Haajat Me Raha Ka'aba Kafeel E Injaah
[00:00.00] Aao Ab Daad-Rasi E Shahe Taibah Dekho
[00:00.00] Dho chuka zulmate dil bosaa-e Sunge Aswad
[00:00.00] Khaak bosi-e-Madina ka bhi Rutbaa dekho
[00:00.00] Kar chuki rif'ate kaaba pe nazar par-vaze
[00:00.00] topi ab thaam ke khaaq e dar e wala dekho
[00:00.00] be-niyazi se waha kaapti payi ta'at
[00:00.00] joshe rehmat pe yaha naaz gunah ka dekho
[00:00.00] Juma E Makka Tha Ird Ahle Ibadat Ke Liye
[00:00.00] Mujrimo! Aao Yaha Ird E Doshamba Dekho
[00:00.00] Multazim se to gale lag ke nikale armaan
[00:00.00] adab o shouq ka yaha baham ulajhna dekho
[00:00.00] Khoob mas'a me b-ummide safa daud liye
[00:00.00] rahe jana(n) ki safaka bhi tamasha dekho
[00:00.00] Raqs E Bismil Ki Bahaare To Meena Me Dekhi
[00:00.00] Dil E Khu-Naaba Fisha Ka Bhi Tadapna Dekho
[00:00.00] Zeenate Kaaba me tha laakh arooso ka banaw
[00:00.00] Jalwa farma yaha kownain ka doolhaa dekho
[00:00.00] Gowr se sun to Raza Kaaba se aati he sadaa
[00:00.00] Meri aankho se mere Pyaare ka Rozaa dekho
